اردو हिंदी
Zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai | Shaahi Shayari
zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai

Ghazal

Zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai

Hamdam Kashmiri

;

zaban ke sath yahan zaiqa bhi rakkha hai
tumhaara zikr tumhaara pata bhi rakkha hai

saja ke dhup kaDi aaj ghar se nikle hain
kisi ke sae ko zer-e-qaba bhi rakkha hai

dhamal ke liye kya kam zamin paDti hai
jo aasman ko sar par uTha bhi rakkha hai

kisi tarah se bhi raunaq baDhe mere ghar ki
bujha hua hi sahi ek diya bhi rakkha hai

mera shiar KHayanat nahin amanat hai
mila hai zaKHm jo us ko hara bhi rakkha hai

sada-e-dil-zadgan aae is taraf shayad
daricha ek makan ka khula bhi rakkha hai