اردو हिंदी
Zaban band rahi dil ka muddaa na kaha | Shaahi Shayari
zaban band rahi dil ka muddaa na kaha

Ghazal

Zaban band rahi dil ka muddaa na kaha

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

zaban band rahi dil ka muddaa na kaha
magar nigah ne us anjuman mein kya na kaha

muhit-e-shauq mein hum Dubte ubharte rahe
KHuda gawah kabhi jaur-e-na-KHuda na kaha

sanam-kada hai ki ek mahfil-e-KHuda-wandan
bahut KHafa hua wo but jise KHuda na kaha

hazar KHizr-numa log raston mein mile
hamare dil ne kisi ko bhi rahnuma na kaha

ye kaenat to hai KHair mujh se begana
agar nigah ne teri bhi aashna na kaha