اردو हिंदी
Zawiya koi muqarrar nahin hone pata | Shaahi Shayari
zawiya koi muqarrar nahin hone pata

Ghazal

Zawiya koi muqarrar nahin hone pata

Mohsin Bhopali

;

zawiya koi muqarrar nahin hone pata
daimi ek bhi manzar nahin hone pata

umr-e-masruf koi lamha-e-fursat ho ata
main kabhi KHud ko mayassar nahin hone pata

aae din aatish o aahan se guzarta hai magar
dil wo kafir hai ki patthar nahin hone pata

kya use jabr-e-mashiyat ki inayat samjhun
jo amal mera muqaddar nahin hone pata

chashm-e-pur-ab samo leti hai aalam ki gard
aaina dil ka mukaddar nahin hone pata

chadar-e-ijz ghaTa deti hai qamat mera
main kabhi apne barabar nahin hone pata

fan ke kuchh aur bhi hote hain taqaze 'mohsin'
har suKHan-go to suKHan-war nahin hone pata