zalim pe azab ho gaya hun
main roz-e-hisab ho gaya hun
har lafz mera hai ek ghaw
zaKHmon ki kitab ho gaya hun
main KHud mein simaT ke tha samundar
phaila to habab ho gaya hun
KHud apni talash kar raha tha
dekha to sarab ho gaya hun
yun uTh gaya etibar-e-hasti
main KHud koi KHwab ho gaya hun
miTTi hui yun KHarab meri
sahra ka jawab ho gaya hun
Ghazal
Zalim pe azab ho gaya hun
Roohi Kanjahi

