اردو हिंदी
Zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain | Shaahi Shayari
zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain

Ghazal

Zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain

Gulzar Bukhari

;

zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain
aaj-kal sidq-o-safa taq pe rakkhe hue hain

wo jo KHud marka-e-ishq mein utre bhi nahin
shikwa paspai ka ushshaq pe rakkhe hue hain

bandh rakkha hai mohabbat ne azal se hum ko
so tawajjoh isi misaq pe rakkhe hue hain

daKHl aankhon ka ulajhne mein bahut hai lekin
tohmaten sab dil-e-mushtaq pe rakkhe hue hain

jaane kab silsila-e-KHair-o-KHabar ka ho zuhur
dhyan hum anfus o aafaq pe rakkhe hue hain

dekhiye kaun sa mafhum liya jaega
baat kar ke nazar itlaq pe rakkhe hue hain

tabish-e-shauq se alfaz hain raushan 'gulzar'
ya sitare kaf-e-auraq pe rakkhe hue hain