اردو हिंदी
Yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro | Shaahi Shayari
yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

Ghazal

Yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro

Habib Jalib

;

yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro
us se larzan the bahut shab ke nigahban yaro

us ne har-gam diya hausla-e-taza hamein
wo na ek pal bhi raha hum se gurezan yaro

us ne mani na kabhi tirgi-e-shab se shikast
dil andheron mein raha us ka farozan yaro

us ko har haal mein jine ki ada aati thi
wo na haalat se hota tha pareshan yaro

us ne baatil se na ta-zist kiya samjhauta
dahr mein us sa kahan sahab-e-iman yaro

us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
us sa hindu na koi us sa musalman yaro

us ne sulatani-e-jamhur ke naghme likkhe
ruh shahon ki rahi us se pareshan yaro

apne ashaar ki shamon se ujala kar ke
kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaro

us ke giton se zamane ko sanwaren yaro
ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaro