yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda
gar gham-e-sud-o-ziyan hai to Thahar ja ai jaan
ki isi moD pe yaron se hue yar juda
do ghaDi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-diwar se diwar juda
ye judai ki ghaDi hai ki jhaDi sawan ki
main juda girya-kunan abr juda yar juda
kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-KHabron
tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda
ku-e-jaanan mein bhi KHasa tha tarah-dar 'faraaz'
lekin us shaKHs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda
Ghazal
Yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
Ahmad Faraz