اردو हिंदी
Yun to kya kya log chhupe the darwazon ke pichhe | Shaahi Shayari
yun to kya kya log chhupe the darwazon ke pichhe

Ghazal

Yun to kya kya log chhupe the darwazon ke pichhe

muneer saifi

;

yun to kya kya log chhupe the darwazon ke pichhe
main hi bas uDta rahta tha aawazon ke pichhe

KHun ka ek qatra warna phir maut ka nashsha hoga
par aisi shai kab hoti hai parwazon ke pichhe

wo to log bana dete hain pur-asrar faza ko
aksar koi raaz nahin hota raazon ke pichhe

mausiqar ke bas mein kab hai lai ko lau mein Dhaale
ek an-dekha hat bhi hota hai sazon ke pichhe

phir to apne KHun mein tair ke par utarna hoga
talwaron ki fasl ho jab tir-andazon ke pichhe

tamgha pension bewa bachche mayusi tanhai
ek kahani rah jati hai jaan-bazon ke pichhe

ab to har chaukhaT par matha Tek rahe ho 'saifi'
aur agar diwaren niklen darwazon ke pichhe