yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log
hadse kaise bhi hon lekin guzar jate hain log
jab mujhe dushwariyon se ru-ba-ru hona paDa
tab main samjha reza reza kyun bikhar jate hain log
sirf ghaza hi nahin chehron ki ranai ka raaz
shiddat-e-gham ki tapish se bhi nikhar jate hain log
masale aa kar lipaT jate hain bachchon ki tarah
sham ko jab lauT kar daftar se ghar jate hain log
har 'nafas' mar mar ke jite hain tujhe ai zindagi
aur jine ki tamanna mein hi mar jate hain log

Ghazal
Yun to KHud apne hi sae se bhi Dar jate hain log
Nafas Ambalvi