yun pareshan kabhi hum bhi to na the
aise is zulf mein KHam bhi to na the
sair-e-gulshan ko gae the jab aap
yaad to kijiye hum bhi to na the
hum se be-jurm wo kucha chhuTa
shaeq-e-bagh-e-iram bhi to na the
rahm karta na falak kya karta
hum saza-war-e-sitam bhi to na the
rahte kabe mein akele kya hum
dil lagane ko sanam bhi to na the
hath kyun sar pe hamare rakkha
tum se KHwahan-e-qasam bhi to na the

Ghazal
Yun pareshan kabhi hum bhi to na the
Sakhi Lakhnvi