yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina Dali
phulon se juda kaliyan kaliyon se juda Dali
sar rakh ke hatheli par aur laKHt-e-jigar chun kar
sarkar mein lae hain arbab-e-wafa Dali
ruya kahun main is ko ya muzhda-e-bedari
ghul hai ki naqab us ne chehre se uTha Dali
allah-re tasawwur ki naqqashi o nairangi
jab ban gai ek surat ek shakl miTa Dali
saqi ne sitam Dhaya barsat mein tarsaya
jab fasl-e-bahaar aai dukan uTha Dali
KHun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna
duniya-e-wafa jis ne rangin bana Dali
'bedam' tere girya ne tufan uTha Dale
aur nalon ne duniya ki buniyaad hila Dali
Ghazal
Yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina Dali
Bedam Shah Warsi