اردو हिंदी
Yun bhi hua ek arse tak ek sher na mujhse tamam hua | Shaahi Shayari
yun bhi hua ek arse tak ek sher na mujhse tamam hua

Ghazal

Yun bhi hua ek arse tak ek sher na mujhse tamam hua

Sahba Akhtar

;

yun bhi hua ek arse tak ek sher na mujh se tamam hua
aur kabhi ek raat mein ek diwan mujhe ilham hua

apni tanhai ka shikwa tujh ko giroh-e-ghair se kyun
ye to hawas ka daur hai pyare jis ko jis se kaam hua

main apne KHaliq se KHush hun misl-e-ali is qismat par
daulat ahl-e-jehl ne pai ilm mujhe inam hua

kaisi qanaat kaisi ibaadat hirs-o-hawas ke aalam mein
dil jo pahle ghar tha KHuda ka ab shahr-e-asnam hua

jo patthar ko mom bana de dil mein ab wo aanch kahan
jis shoale par naz bahut tha wo shoala bhi KHam hua

jin ko hai islam ka dawa 'sahba' un ka haal bhi dekh
main to KHair buton ka ho kar mahrum-e-islam hua