yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha
pichhe pichhe maut thi aage KHuda ka nam tha
bante hi ghar ibtida mein ru-kash-e-anjam tha
tinke chun kar jab nazar ki aashiyan ek dam tha
be-mahal dil ke bujhane se unhen kya mil gaya
jis ko sham-e-subh samjhe wo charagh-e-sham tha
haal-e-munim KHud-gharaz kya jaanen mai-KHane mein kal
rind the be-fikr gardish mein dimagh-e-jam tha
bas yahi fiqara ki sham-e-hijr ne mara mujhe
koi kah aata to kitna muKHtasar paigham tha
saikDon bar ek aah-e-sard se tharra chuka
kis qadar nazdik dil se aasman ka baam tha
namwar phir kaun hoga kar-zar-e-dahr mein
jab yahan dil sa alam-bardar-e-gham gumnam tha
monis-e-wahdat ko kho baiTha baDi mushkil ye hai
kaTna ek sham furqat ka zara sa kaam tha
sau jagah se chhin raha tha jab to Darta kis liye
kha gaya dhoka ki mere dil ki surat dam tha
sar chaDhaya main ne chun chun kar KHas-o-KHashak ko
bagh ke tinke the wo jin ka nasheman nam tha
zabh mein ek bhiD si dekhi thi lekin kya KHabar
gard meri hasraten thin ya hujum-e-am tha
mere nale the shab-e-furqat mein kitne bar-mahal
un ke kanon mein magar ek shor be-hangam tha
kya zamane ka gila 'saqib' kisi ka kya qusur
ye dil-e-gham-dost KHud hi dushman-e-aram tha
Ghazal
Yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha
Saqib Lakhnavi