yun aaj apne-ap se uljha hua hun main
jaise ki KHud nahin hun koi dusra hun main
zehn aur dil mein chheD gaya koi sard jang
ek sail-e-kashmakash ke muqabil khaDa hun main
aa jae samne koi mear to tera
ye soch kar nigah se akasr gira hun main
KHud ko to kho ke tujh ko nahin pa saka magar
khoya tujhe to jaane kise pa gaya hun main
yun to hun ek lafz hi main bhi lughat ka
mafhum ke lihaz se sab se juda hun main
Ghazal
Yun aaj apne-ap se uljha hua hun main
Roohi Kanjahi

