ye zarre jin ko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain
zaban-e-haal rakhte hain zaban-e-dil samajhte hain
jise sab log husn o ishq ki manzil samajhte hain
buland us se bhi hum apna maqam-e-dil samajhte hain
haqiqat mein jo raaz-e-duri-e-manzil samajhte hain
unhin ko hum suluk-e-ishq mein kaamil samajhte hain
hamein kyun wo jafa-e-KHas ke qabil samajhte hain
ye raaz-e-dil hai is ko mahraman-e-dil samajhte hain
isi ek jurm par aghyar mein barpa qayamat hai
ki hum bedar hain aur apna mustaqbil samajhte hain
nigahon mein kuchh aise bas gae hain husn ke jalwe
koi mahfil ho lekin hum teri mahfil samajhte hain
koi mane na mane is ko lekin ye haqiqat hai
hum apni zindagi mein ghaib ko shamil samajhte hain
ye narm o na-tawan maujen KHudi ka raaz kya jaanen
qadam lete hain tufan azmat-e-sahil samajhte hain
hukumat ke mazalim jab se in aankhon ne dekhe hain
'jigar' hum bambai ko kucha-e-qatil samajhte hain
Ghazal
Ye zarre jinko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain
Jigar Moradabadi