اردو हिंदी
Ye zamin hun wo aasman bhi hun | Shaahi Shayari
ye zamin hun wo aasman bhi hun

Ghazal

Ye zamin hun wo aasman bhi hun

Pritpal Singh Betab

;

ye zamin hun wo aasman bhi hun
main yahan bhi hun main wahan bhi hun

martaba mera jo bhi hai so hai
bahut achchha hun main jahan bhi hun

mujh se bahar mera suragh nahin
main ki manzil bhi hun nishan bhi hun

tan-e-tanha bhi gamzan hun aur
sath sab ke rawan-dawan bhi hun

mujh se mere siwa na kuchh bhi mang
main safar bhi hun armughan bhi hun

zara aage nikal ke dekhun agar
main koi yaad-e-raftagan bhi hun

zindagi ki hun be-nishani bhi
main kisi gor ka nishan bhi hun

faKHr bhi hai ki phir bhi hun 'betab'
apni hasti se bad-guman bhi hun