ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya
tera gham bhi naya, mera gham bhi naya
shoKHi-e-husn shahron mein yun al-aman
sath mausam ke badlen sanam bhi naya
maslahat waqt ki bhej deti hai kyun
har masarrat ke ham-rah ram bhi naya
kaun lafzon ko deta hai mani nae
aur mere sher ko pech-o-KHam bhi naya
bad-gumani ne tabdil mehwar kiye
kaba us ka to mera sanam bhi naya
aafrin aafrin dushman-e-jaan mere
teri ijad hai ye sitam bhi naya
dawar-e-hashr aajiz hun main, tu nahin
lauh de ab nai aur qalam bhi naya
mulk-dar-mulk bhaTke, sukun kab mila
chahiye dil ko shahr-e-adam bhi naya
istilah-e-jihad aaj badli hai yun
karbala hai nai aur alam bhi naya
lamhe lamhe ki tahqiq o ijad se
mil gaya nasl-e-nau ko shikam bhi naya
har taraf koi jannat hai ab dahr mein
aur hai baghban-e-iram bhi naya
miThi baaten, kabhi talKH lahje ke tir
dil pe har din hai un ka karam bhi naya
ruh-e-'jamshed' nadim hai is ahd mein
ab hai har hath mein jam-e-jam bhi naya
hashr lamhe mein, pal mein sukut-e-azal
aah! ye waqt ka zer-o-bam bhi naya
shaKHsiyyat ek hai phir bhi pahlu hazar
us ki baaton mein hota hai KHam bhi naya
laj 'KHalid' ki rakh le KHudaya zara!
tujh se bandhe ye har din bharam bhi naya
Ghazal
Ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya
Quaiser Khalid

