اردو हिंदी
Ye yaqin ye guman hi mumkin hai | Shaahi Shayari
ye yaqin ye guman hi mumkin hai

Ghazal

Ye yaqin ye guman hi mumkin hai

Abrar Ahmad

;

ye yaqin ye guman hi mumkin hai
tujh se milna yahan hi mumkin hai

KHwab ek mumkin o mayassar ka
garche us ka bayan hi mumkin hai

behad o be-hisab shauq mein bhi
qasd ku-e-butan hi mumkin hai

tangna-e-jahan-e-zahir mein
ye zamin ye zaman hi mumkin hai

had se had is rah-e-hazimat mein
pursish-rah-rawan hi mumkin hai

aatish-e-dil pe Dalne ke liye
reg-e-rah-e-rawan hi mumkin hai

sarhad-e-mumkinat se aage
sar pe ek aasman hi mumkin hai

aan baiThe ki ji lagane ko
sohbat-e-dostan hi mumkin hai

arsa-e-zindagi mein teri meri
sirf ek dastan hi mumkin hai

kya tamasha hai yan uThane ko
ek bar-e-giran hi mumkin hai