ye to sach hai ki safi' ki nahin niyyat achchhi
han magar pai hai zalim ne tabiat achchhi
kya hua aap ne pai hai jo surat achchhi
aadmi wo hai ki jis ki ho tabiat achchhi
aaj wo puchhne aae hain hamara matlab
sun liya tha kahin matlab ki mohabbat achchhi
KHubsurat hai wahi jis pe zamana rijhe
yun to har ek ko hai apni hi surat achchhi
kuchh bhi ho ek tamanna to bandhi rahti hai
tujh se sau darja tere milne ki hasrat achchhi
nahin apne mein koi chahne wala tera
Dal di Dalne walon ne adawat achchhi
koi arman nahin hai to faqat betabi
wasl se tere sitamgar teri furqat achchhi
un ke aate hi badal jate hain tere tewar
ai safi' chahiye insan ki niyyat achchhi

Ghazal
Ye to sach hai ki safi ki nahin niyyat achchhi
Safi Aurangabadi