اردو हिंदी
Ye to nahin ki baadiya-paima na aaega | Shaahi Shayari
ye to nahin ki baadiya-paima na aaega

Ghazal

Ye to nahin ki baadiya-paima na aaega

Abu Mohammad Sahar

;

ye to nahin ki baadiya-paima na aaega
ai dasht-e-arzu koi hum sa na aaega

chalna nasib-e-zist hai yun hi chale chalo
is raste mein shahr-e-tamanna na aaega

rah-e-wafa mein qatra-e-shabnam bhi hai bahut
jis se bujhegi pyas wo dariya na aaega

KHud ho sake to apne andhere ujal lo
ab koi sahab-e-yad-e-baiza na aaega

ai ahl-e-dil KHamosh ki ye ja-e-sabr hai
dukh to yunhi rahenge masiha na aaega

gahe wufur-e-shauq to gahe hujum-e-yas
sab kuchh to aaega hamein jina na aaega

baiThe rahen 'sahar' yunhi diwar o dar liye
apna jise kahen koi aisa na aaega