ye tanhai ye uzlat ai dil ai dil
jawani mein ye haalat ai dil ai dil
nagar hota to koi baat bhi thi
bayaban mein ye wahshat ai dil ai dil
bhala kya is bhari duniya mein tanha
wahi hai KHubsurat ai dil ai dil
kise hoti nahin us ki zarurat
magar itni zarurat ai dil ai dil
zamana chahiye dil jitne ko
ye be-tabi ye ujlat ai dil ai dil
ye aansu hain koi moti nahin hain
luTate hain ye daulat ai dil ai dil
'shuur' aaya hua baiTha hai kab se
ye be-hoshi ye ghaflat ai dil ai dil
Ghazal
Ye tanhai ye uzlat ai dil ai dil
Anwar Shuoor