اردو हिंदी
Ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra | Shaahi Shayari
ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

Ghazal

Ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra

Abroo Shah Mubarak

;

ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra
diwana nahin ki ab ghar mein rahun main chhoD kar sahra

andheri raat mein majnun ko jangal bich kya Dar hai
papiha ko kala kyun mil ke de hain har ghaDi pahra

gaya tha raat jhaD badli mein zalim kis taraf kun tu
taDap sin dil mera bijli ki jun ab lag nahin Thahra

wo kakul is tarah ke hain bala kale ki jo dekhe
to mar ja nag us ka aab ho ja KHauf sin zahra

esi kahani bikaT hai ishq kafir ki jo dekhe
to rowen nuh falak aur chashm ho jaan un ki nau nahra

rawan nahin taba jis ki sher-e-tar ki tarz pane mein
nahin hota hai us kun 'abru' ke harf sin bahra