ye raat kash isi dilkashi se Dhalti rahe
ufuq ke pas pahaDon mein aag jalti rahe
daraaz-tar ho KHayalon ki bastiyon ka safar
meri talash sada zawiye badalti rahe
koi charagh na mere harim-e-gham mein jale
KHud apni aanch mein ye tirgi pighalti rahe
shikasta ho ke bhi naumid ho na dil tera
bujhe charagh mein bhi raushni machalti rahe
safine Dub gae kitne dal ke sagar mein
KHuda kare teri yaadon ki naw chalti rahe
Ghazal
Ye raat kash isi dilkashi se Dhalti rahe
Hasan Akhtar Jaleel