ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
ek pal bhi agar bhul se hum so gae hote
ai shahr tera nam-o-nishan bhi nahin hota
jo hadse hone the agar ho gae hote
har bar palaTte hue ghar ko yahi socha
ai kash kisi lambe safar ko gae hote
hum KHush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote
kis munh se kahen tujh se samundar ke hain haqdar
sairab sarabon se bhi hum ho gae hote

Ghazal
Ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
Shahryar