اردو हिंदी
Ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain | Shaahi Shayari
ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain

Ghazal

Ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain

Iftikhar Arif

;

ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain
koi banata hai hum KHud kahan banate hain

ye sur ye tal ye lai kuchh nahin ba-juz taufiq
to phir ye kya hai ki hum armughan banate hain

samundar us ka hawa us ki aasman us ka
wo jis ke izn se hum kashtiyan banate hain

zamin ki dhup zamane ki dhup zehn ki dhup
hum aisi dhup mein bhi saeban banate hain

KHud apni KHak se karte hain mauj-e-nur kashid
phir us se ek nai kahkashan banate hain

kahani jab nazar aati hai KHatm hoti hui
wahin se ek nai dastan banate hain

khuli faza mein KHush-awaz taeron ke hujum
magar wo log jo tir o sinan banate hain

palaT ke aae gharib-ul-watan palaTna tha
ye dekhna hai ki ab ghar kahan banate hain