ye misra nahin hai wazifa mera hai
KHuda hai mohabbat mohabbat KHuda hai
kahun kis tarah main ki wo bewafa hai
mujhe us ki majburiyon ka pata hai
hawa ko bahut sar-kashi ka nasha hai
magar ye na bhule diya bhi diya hai
main us se juda hun wo mujh se juda hai
mohabbat ke maron pe fazl-e-KHuda hai
nazar mein hai jalte makanon ka manzar
chamakte hain jugnu to dil kanpta hai
unhen bhulna ya unhen yaad karna
wo bichhDe hain jab se yahi mashghala hai
guzarta hai har shaKHs chehra chhupae
koi rah mein aaina rakh gaya hai
baDi jaan lewa hain mazi ki yaaden
bhulane ko ji bhi nahin chahta hai
kahan tu 'KHumar' aur kahan kufr tauba
tujhe parsaon ne bahka diya hai
Ghazal
Ye misra nahin hai wazifa mera hai
Khumar Barabankavi