اردو हिंदी
Ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai | Shaahi Shayari
ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai

Ghazal

Ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai

Ahmad Ata

;

ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai
ek guman hai ki tera aks dikha jata hai

ek taswir dil-e-hijr-zada mein hai teri
ek taswir koi aur bana jata hai

teri minnat bhi meri jaan baDi ki jati hai
zer-e-lab ek wazifa bhi paDha jata hai

chand ne mujh pe kaman ek tani hoti hai
tir lagta nahin kis or chala jata hai

tu jo aata hai mahakta hun gulabon ki tarah
aur tera KHwab jab aata hai rula jata hai

jaanta hun na talluq na zarurat hai tujhe
tujh ko ye kaun mere pas biTha jata hai

ek jawan us ki gali mein jo gaya mara gaya
ye fasana hai magar kis se suna jata hai