ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai
had-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai
har ek jism ruh ke azab se niDhaal hai
har ek aankh shabnami har ek dil figar hai
hamein to apne dil ki dhaDkanon pe bhi yaqin nahin
KHosha wo log jin ko dusron pe e'tibar hai
na jis ka nam hai koi na jis ki shakl hai koi
ek aisi shai ka kyun hamein azal se intizar hai
Ghazal
Ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai
Shahryar