ye kya gali hai jahan Darte Darte jate hain
guzarte bhi nahin lekin guzarte jate hain
bas ab to agla safar KHushkiyon ka aata hai
hamari raat ke dariya utarte jate hain
jahan mein kuchh nahin hota kisi ke karne se
ye log phir bhi koi kaam karte jate hain
ye kaisa hum ko ishaara hai par utarne ka
wo dekho lahron mein kuchh hath ubharte jate hain
tamam shahr to aashob-e-chashm ka hai shikar
na jaane kis ke liye hum sanwarte jate hain
ajab nizam fana o baqa ka hai ki jahan
wo ji uThenge dobara jo marte jate hain
bhari hain dhund se sare nagar ki dahlizen
nazar mein jugnu hi jugnu utarte jate hain
Ghazal
Ye kya gali hai jahan Darte Darte jate hain
Prem Kumar Nazar

