ye kis ke soz ka hai bazm-e-jaan mein intizar ai dil
ki aahen aaj su-e-alam-e-baala nahin jatin
umiden jab meri baDh aain to hans kar lage kahne
ye barson qaid dil mein rah ke kyun ghabra nahin jatin
nahin gustaKH aaina muqabil hai khaDa koi
ye hairan hai ki kyun aankhen teri sharma nahin jatin
khaDa hun intizar-e-yar mein jun shaKH-e-nargis main
mujhe hairat hai kyun aankhen meri pathra nahin jatin
tere gulshan mein taron ki bahaar ek hai ajab jadu
ye kaliyan phul ban kar ai falak kumhla nahin jatin
'humayun' tera dil bhi gulshan-e-hasrat ka naghma hai
KHushi mein bhi teri baaten wo gham-afza nahin jatin

Ghazal
Ye kis ke soz ka hai bazm-e-jaan mein intizar ai dil
Shah Deen Humayun