اردو हिंदी
Ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main | Shaahi Shayari
ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main

Ghazal

Ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main

Javed Nadeem

;

ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main
apni zamin se uTh ke kahan aa gaya hun main

baadal mein chhup gaya hai jo suraj tu hi to tha
jo jal raha hai ghar mein wo raushan diya hun main

jaega tu jahan bhi rahunga main tere sath
tu abr-e-be-niyaz to bahti hawa hun main

rah kar bhi har maqam pe dikhta nahin hai kyun
kab KHud ko apne-ap mein aaKHir mila hun main

tere azal abad ke kinaron ke darmiyan
karti hai bazgasht jo aisi sada hun main

phir yun hua ki raushni had se siwa hui
KHurshid-e-zau-fishaar tha dekho bujha hun main

hota zafar qarar jo nashtar nahin hua
'jawed' dasht-e-sher mein be-dast-o-pa hun main