ye KHud ko dekhte rahne ki hai jo KHu mujh mein
chhupa hua hai kahin wo shagufta-ru mujh mein
mah o nujum ko teri jabin se nisbat dun
ab is qadar bhi nahin aadat-e-ghulu mujh mein
taghayyuraat-e-jahan dil pe kya asar karte
hai teri ab bhi wahi shakl hu-ba-hu mujh mein
rafugaron ne ajab taba-azmai ki
rahi sire se na gunjaish-e-rafu mujh mein
wo jis ke samne meri zaban nahin khulti
usi ke sath to hoti hai guftugu mujh mein
KHuda kare ki use dil ka rasta mil jae
bhaTak rahi hai koi chap ku-ba-ku mujh mein
us ek zohra-jabin ke tufail jari hai
tamam zohra-jabinon ki justuju mujh mein
nahin pasand mujhe sher-o-shaeri karna
kabhi-kabhaar bas uThti hai ek hu mujh mein
main zindagi hun mujhe is qadar na chah 'shuur'
musafirana iqamat-guzin hai tu mujh mein
Ghazal
Ye KHud ko dekhte rahne ki hai jo KHu mujh mein
Anwar Shuoor