ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ki tera shahr naya aur main musafir yar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai aaKHir yar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!
kahan ka lams, kahan ki hawas, kahan ka visal
taDap raha hun teri hamdami ki KHatir yar!
sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein, yani
raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!
pukarti hain mujhe ghanTiyan teri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!

Ghazal
Ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
Syed Kashif Raza