ye kaho ye na kaho aise kaho aise nahin
sun ai naqqad teri god ke hum pale nahin
hum chhiDe-chhanT yak-o-tanha adab ka maidan
koi ham-zulf nahin aur sasur sale nahin
momin o kafir o mushrik na to murtad mulhid
apne DanDe to kisi se bhi kahin milte nahin
rukhi-phiki si kabhi chaTni kahin sadi si dal
apni ghazlon ke muqaddar mein siri-pae nahin
baDi na-samjhi hai har shai ka samajh lena bhi
zehn afkar se aari hai agar jale nahin
tuf hai un aankhon pe jo KHud mein ulajh kar rah jaen
wo nigah kya jo yahan take wahan jhanke nahin
be-niyazana jiye jate hain apni dhun mein
bankpan kho na kahin jae nahin hae nahin
Ghazal
Ye kaho ye na kaho aise kaho aise nahin
Shamim Abbas

