ye jo talab hai dariya tha kabhi
main yahan baiTh ke rota tha kabhi
tirgi ne wahan dekha hai mujhe
raushni ne jahan socha tha kabhi
apni tafhim ka zindani lafz
shaKH-e-mani pe chahakta tha kabhi
ab chara-gah hai tabiron ki
mere KHwabon ka jazira tha kabhi
yaad paDta hai teri fursat mein
main kisi kaam se aaya tha kabhi
aaj roti hai jo mere upar
main isi baat pe hansta tha kabhi
ab to nazren bhi chura leta hai
jo mujhe KHwab dikhata tha kabhi
apni wusat ko nikalta ye hujum
meri tanhai se uljha tha kabhi
ye jo andar ka tamashai hai
mere bahar ka tamasha tha kabhi

Ghazal
Ye jo talab hai dariya tha kabhi
Sarfraz Zahid