اردو हिंदी
Ye jis ne jaan di hai nan dega | Shaahi Shayari
ye jis ne jaan di hai nan dega

Ghazal

Ye jis ne jaan di hai nan dega

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

ye jis ne jaan di hai nan dega
diya hai jis ne sar saman dega

mizha se us kaman-abru ki bachna
wo nawak hai kaleja chhan dega

mashaqqat se wo de ya be-mashaqqat
ba-har-surat ba-har-unwan dega

wo bosa de ke dil le kar ye bole
ewaz ehsan ka kya insan dega

milega qadr-dan-e-ishq hum ko
KHuda mashuq baiman dega

sunenge tab butan-e-hind apni
ijazat jab unhen shaitan dega

fasana kohkan ka sun ke bole
jo aashiq hoga wo hi jaan dega

na thi ummid tujh se qasim baKHt
dil-e-pur-dard o pur-arman dega

rah-e-ulfat ka hun kar-azmuda
kisi ko dil koi anjaan dega

chalega tir jab apni dua ka
kaleje dushmanon ke chhan dega

muqaddar se zyaada ek luqma
gada kya lega kya sultan dega

lipaT jaunga un se roz-e-waslat
agar mujh ko KHuda ausan dega

na phaila 'muntahi' dast-e-hawas ko
wagarna ye tujhe nuqsan dega