اردو हिंदी
Ye jawahir-KHana-e-duniya jo hai ba-ab-o-tab | Shaahi Shayari
ye jawahir-KHana-e-duniya jo hai ba-ab-o-tab

Ghazal

Ye jawahir-KHana-e-duniya jo hai ba-ab-o-tab

Nazeer Akbarabadi

;

ye jawahir-KHana-e-duniya jo hai ba-ab-o-tab
ahl-e-surat ka hai dariya ahl-e-mani ka sarab

wo azimushshan makan deti thin jin ki rifaten
hans ke taq-e-asman ko taq-e-abru se jawab

wo mutalla qasr wo rangin munaqqash baam-o-dar
wo murassa KHwab-gahen bahr-e-aish o bahr-e-KHwab

sahn mein bustan-sara aise pur-az-ghilman-o-hur
jin ki anhaaron mein jae aab-o-gil KHalis gulab

wo mutalla qasr-e-rangin o munaqqash baam-o-dar
jin ki rangini se tha qasr-e-iram ko pech-o-tab

un mein the wo sahab-e-sarwat jinhen kahte the log
keqbaad o qaisar o keKHusrau o afrasiyab

mehr-wash bahram saulat badr qadr o charKH-e-raKHsh
mushtari-paikar surayya bargah ki wan janab

wo tajammul wo tamawwul wo tafawwuq wo ghurur
wo tahashshum wo tanaum wo tayyush wo shabab

har taraf fauj-e-butan har-su hujum-e-gul-ruKHan
jin ke aariz ranj-e-mah o rashk-e-ru-e-aftab

chashmak o aan o ishaaraat o ada o sar-kashi
tanz-o-tariz-o-kinayat ghamza-o-naz-o-itab

subh se le sham tak aur sham se le ta-ba-subh
dam-ba-dam raqs-o-surud aur pai-ba-pai jam-e-sharab

saqi o mutrib nadim o masti o mai-KHwargi
saghar-o-mina o gul itr o mai o naql o kabab

kasrat-e-ahl-e-nashat o josh-e-nausha nosh-e-mai
az-zamin ta-asman shor-e-nai o chang-o-rubab

wo bahaaren wo fazaen wo hawaen wo surur
wo tarab wo aish kuchh jis ka nahin hadd-o-hisab

ya to wo hangama-e-tanshit tha ya dafatan
kar diya aisa kuchh is daur-e-falak ne inqalab

jo wo sab jate rahe dam mein hubab-asa magar
rah gae ibrat-faza wo qasr-e-viran-o-KHarab

tha jahan wo majma-e-rangin wahan ab hai to kya
naqsh-e-summ-e-gor ya kohna koi parr-e-uqab

hain agar do KHisht baham to lab-e-afsos hain
aur jo koi taq hai to surat-e-chashm-e-pur-ab

KHwab kahiye is tamashe ko 'nazir' ab ya KHayal
kuchh kaha jata nahin wallahu-alam-bissawab