اردو हिंदी
Ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya | Shaahi Shayari
ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya

Ghazal

Ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya
ki sada hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gaya

mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakha qadam koi
mujhe par lagae shauq ne kahin thak ke main jo Thahar gaya

mujhe piri aur shabab mein jo hai imtiyaz to is qadar
koi jhonka baad-e-sahar ka tha mere pas se jo guzar gaya

asar us ke ishwa-e-naz ka jo hua wo kis se bayan karun
mujhe to ajal ki hai aarzu use wahm hai ki ye mar gaya

tujhe ai KHatib-e-chaman nahin KHabar apne KHutba-e-shauq mein
ki kitab-e-gul ka waraq waraq teri be-KHudi se bikhar gaya

kise tu sunata hai ham-nashin ki hai ishwa-e-dushman-e-aql-o-din
tere kahne ka hai mujhe yaqin main tere Darane se Dar gaya

karun zikr kya main shabab ka sune kaun qissa ye KHwab ka
ye wo raat thi ki guzar gai ye wo nashsha tha ki utar gaya

dil-e-na-tawan ko takan ho mujhe us ki tab na thi zara
gham-e-intizar se bach gaya tha nawed-e-wasl se mar gaya

mere sabr-o-tab ke samne na hujum-e-KHauf-o-raja raha
wo chamak ke barq rah gai wo garaj ke abr guzar gaya

mujhe bahr-e-gham se ubur ki nahin fikr ai mere chaara-gar
nahin koi chaara-kar ab mere sar se aab guzar gaya

mujhe raaz-e-ishq ke zabt mein jo maza mila hai na puchhiye
mai-e-angbin ka ye ghunT tha ki gale se mere utar gaya

nahin ab jahan mein dosti kabhi raste mein jo mil gae
nahin matlab ek ko ek se ye idhar chala wo udhar gaya

agar aa ke ghussa nahin raha to lagi thi aag ki bujh gai
jo hasad ka josh faro hua to ye zahr chaDh ke utar gaya

tujhe 'nazm' wadi-e-shauq mein abas ehtiyat hai is qadar
kahin girte girte sambhal gaya kahin chalte chalte Thahar gaya