ye hasin honge mehrban mere baad
anDe dengi ye murghiyan mere baad
main to mar jaunga magar socho
kya karengi tumhaari man mere baad
KHub abhi qahqaha laga lo tum
bhon-bhon rooge mehrban mere baad
jab na dekhega wo bahaar-e-chaman
mar hi jaega baghban mere baad
baDh gai hai jo aaj kal mere dost
khinchi jaegi wo zaban mere baad
dekh kar hashr-KHez hangame
rafu-chakkar hui aman mere baad
tum shikam-ser kis tarah hoge
kaun paTega ye kuan mare baad
gul to gul tang aa ke kanTe bhi
denge gulchin ko galiyan mere baad
jis mein aksar KHulus milta tha
ho gai band wo dukan mere baad
jahan jhukte hain sar salatin ke
hai muqaffal wo aastan mere baad
roz uDate hain jo man-o-salwa
wo chabaenge Thurriyan mere baad
mere qabil nahin abhi ye hasin
ye chalengi dawanniyan mere baad
lab-e-shirin ki qadr hai mujh se
munh pe bhinkengi makkhiyan mere baad
sar-bulandi jinhen nasib hai 'shauq'
kal wo khaenge jutiyan mere baad

Ghazal
Ye hasin honge mehrban mere baad
Shauq Bahraichi