ye gham phir se ubharta ja raha hai
mujhe hairan karta ja raha hai
suna meayar girta ja raha hai
magar banda nikharta ja raha hai
mujhe ye kya hua hai kuchh dinon se
tera ehsas marta ja raha hai
aman is KHwab ko bhi kya kahen ab
bikharna tha bikharta ja raha hai
tera KHamoshiyon ko waqt dena
sadaon ko akharta ja raha hai
hamin ne hi use rasta diya tha
hamin pe panw dharta ja raha hai
purani dekh kar taswir teri
naya har din guzarta ja raha hai
main jitni aur pita ja raha hun
nasha utna utarta ja raha hai
suna hai 'mit' KHwabon se nikal kar
wo aankhon mein Thaharta ja raha hai
Ghazal
Ye gham phir se ubharta ja raha hai
Amit Sharma Meet

