اردو हिंदी
Ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha | Shaahi Shayari
ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha

Ghazal

Ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha

Saleem Shahid

;

ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha
jo chhinne mein maza hai wo kab sawal mein tha

kis aaftab ki aahaT se shahr jag uTha
wagarna main bhi kahin mast apne haal mein tha

tere bayan ne dikhaya jo aaina to khula
ki har shuur mere gosha-e-KHayal mein tha

mere safar ke liye roz-o-shab bane hi nahin
tumhin kaho ki main kab qaid-e-mah-o-sal mein tha

ragon mein reg-e-rawan tha gurez-pai ka
lahu asir ajab KHwahishon ke jal mein tha

mere gurez ne ahd-e-sitam ko tul diya
ye eqtidar to kab se yunhi zawal mein tha

ajib lams ki lazzat hai meri banhon mein
wahi maza hai jo us KHwab ke visal mein tha