اردو हिंदी
Ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai | Shaahi Shayari
ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai

Ghazal

Ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai

Tahzeeb Hafi

;

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai
main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai

main ab ke sal parindon ka din manaunga
meri qarib ke jangal se baat ho gai hai

bichhaD ke tujh se na KHush rah sakunga socha tha
teri judai hi wajh-e-nashat ho gai hai

badan mein ek taraf din tulua main ne kiya
badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai

main jangalon ki taraf chal paDa hun chhoD ke ghar
ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai

rahega yaad madine se wapsi ka safar
main nazm likhne laga tha ki nat ho gai hai