ye charagh be-nazar hai ye sitara be-zaban hai
abhi tujh se milta-julta koi dusra kahan hai
wahi shaKHs jis pe apne dil-o-jaan nisar kar dun
wo agar KHafa nahin hai to zarur bad-guman hai
kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai
mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein
wahi dukh-bhari zamin hai wahi gham ka aasman hai
main isi guman mein barson baDa mutmain raha hun
tera jism be-taghayyur mera pyar jawedan hai
unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere
mujhe rok rok puchha tera ham-safar kahan hai
Ghazal
Ye charagh be-nazar hai ye sitara be-zaban hai
Bashir Badr