ye bhul ja ki hain tere bhi gham-gusar bahut
banana kaghzi phulon ke KHushk haar bahut
jo chashm-e-yar hai hosh-o-KHirad shikar bahut
dil-o-nazar pe hamein bhi hai iKHtiyar bahut
hum apne waqt ki taswir-e-masKH-surat hain
dikhae hum ko na aaina rozgar bahut
KHuda wo waqt na lae ki aazmaish ho
talluqat tumhin se hain ustuwar bahut
kisi bhi shaKH pe jab mera aashiyan na mila
chaman mein aaj phiri barq be-qarar bahut
dil-e-tabah ki nairangiyon ka haal na puchh
gahe qarar bahut gah be-qarar bahut
hayat nazish-e-kaunain ho to kya gham hai
wo chaar din ki sahi umr-e-mustaar bahut
hamein to apni wafaon ka mil raha hai sila
jafa-o-jaur pe wo kyun hain sharmsar bahut
bahut dinon se ab apni talash mein gum hain
'rais' chhan chuke KHak-e-ku-e-yar bahut
Ghazal
Ye bhul ja ki hain tere bhi gham-gusar bahut
Raees Niyazi

