ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zaKHm tu ne diye hain bhara nahin karte
hazar jal liye ghumti phire duniya
tere asir kisi ke hua nahin karte
ye aainon ki tarah dekh-bhaal chahte hain
ki dil bhi TuTen to phir se juDa nahin karte
wafa ki aanch suKHan ka tapak do in ko
dilon ke chaak rafu se sila nahin karte
jahan ho pyar ghalat-fahmiyan bhi hoti hain
so baat baat pe yun dil bura nahin karte
hamein hamari anaen tabah kar dengi
mukalme ka agar silsila nahin karte
jo hum pe guzri hai jaanan wo tum pe bhi guzre
jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte
har ek dua ke muqaddar mein kab huzuri hai
tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte
Ghazal
Ye aur baat hai tujhse gila nahin karte
Amjad Islam Amjad