اردو हिंदी
Ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin | Shaahi Shayari
ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin

Ghazal

Ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin

Heera Lal Falak Dehlvi

;

ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin
zamin kahan hai jo aaghosh-e-asman mein nahin

ziya-faraaz jahan hain hazar mah-o-nujum
charagh koi magar mere aashiyan mein nahin

wafur-e-ishq ki nairangiyan are tauba
jo dil mein dard hai wo dil ki dastan mein nahin

tum apna tir-e-ada meri ruh mein DhunDo
in abaruon ki lachakti hui kaman mein nahin

ye aur baat ki gulshan pe gir paDe bijli
kami to koshish-e-tanzim-e-gulistan mein nahin

jo apni sust-rawi ka ilaj kar na sake
maqam us ka koi ahl-e-karwan mein nahin

rumuz-e-uqba se ahl-e-zamin hon kya waqif
kisi bhi pahlu koi rabt do-jahan mein nahin

'falak' main kaifiyyat-e-dil se KHud pareshan hun
kisi fughan mein asar hai kisi fughan mein nahin