ye ata bhi hai saqi wah kya nirali hai
ek jam chhalka hai ek jam KHali hai
zaKHm patta patta hai dard Dali Dali hai
ai mere chaman aaKHir kaun tera mali hai
phir tere hasin wade yaad aa gae shayad
main ne aarzuon ki bhiD phir laga li hai
kya meri wafaon ka ab lahu nahin milta
tum ne apne hathon mein kyun hina laga li hai
ai meri ghazal tere naz kaun uThaega
ab na koi 'ghaalib' hai ab na koi 'haali' hai
harf harf hira hai lafz lafz moti hai
in hasin logon ki baat hi nirali hai
pak-baz rindon ko aur hum kahan DhunDhen
masjiden bhi suni hain mai-kada bhi KHali hai
'raaz' ye ghazal apni ek hasin ka sadqa hai
sher bhi anokhe hain hain tarz bhi nirali hai

Ghazal
Ye ata bhi hai saqi wah kya nirali hai
Raaz Allahabadi