ye aalam shauq ka dekha na jae
wo but hai ya KHuda dekha na jae
ye kin nazron se tu ne aaj dekha
ki tera dekhna dekha na jae
hamesha ke liye mujh se bichhaD ja
ye manzar bar-ha dekha na jae
ghalat hai jo suna par aazma kar
tujhe ai bewafa dekha na jae
ye mahrumi nahin pas-e-wafa hai
koi tere siwa dekha na jae
yahi to aashna bante hain aaKHir
koi na-ashna dekha na jae
ye mere sath kaisi raushni hai
ki mujh se rasta dekha na jae
'faraaz' apne siwa hai kaun tera
tujhe tujh se juda dekha na jae
Ghazal
Ye aalam shauq ka dekha na jae
Ahmad Faraz