اردو हिंदी
Yaqin ki KHak uDate guman banate hain | Shaahi Shayari
yaqin ki KHak uDate guman banate hain

Ghazal

Yaqin ki KHak uDate guman banate hain

Zafar Iqbal

;

yaqin ki KHak uDate guman banate hain
magar ye turfa imarat kahan banate hain

laga rahe hain nae zaeqon ke zaKHm abhi
asas-e-fikr na tarz-e-bayan banate hain

qarib-o-dur se bejoD aks ashiya ke
talash karte hain aur dastan banate hain

ki mil sake na hamara suragh hum ko bhi
bina-e-abr-o-hawa par makan banate hain

purane zulm mein lazzat nahin hamare liye
hum apne sar pe naya aasman banate hain

nahin nasib mein marna sawad-e-sahil par
jo Dubne ke liye kashtiyan banate hain

falak pe DhunDte hain gard-e-rang-e-rafta-e-dil
zamin pe sham-e-talab ka nishan banate hain

wo jis ki lai pe larazta hai barg barg badan
us ek rang se naqsh-e-KHizan banate hain

'zafar' ye waqt hi batlaega ki aaKHir hum
bigaDte hain zaban ya zaban banate hain