yaqin chand pe suraj mein e'tibar bhi rakh
magar nigah mein thoDa sa intizar bhi rakh
KHuda ke hath mein mat saunp sare kaamon ko
badalte waqt pe kuchh apna iKHtiyar bhi rakh
ye hi lahu hai shahadat ye hi lahu pani
KHizan nasib sahi zehn mein bahaar bhi rakh
gharon ke taqon mein gul-daste yun nahin sajte
jahan hain phul wahin aas-pas KHar bhi rakh
pahaD gunjen nadi gae ye zaruri hai
safar kahin ka ho dil mein kisi ka pyar bhi rakh
Ghazal
Yaqin chand pe suraj mein etibar bhi rakh
Nida Fazli